India mein Garmi ka Tandav: Kyun Jhulas raha hai pura Desh?
India mein Garmi ka Tandav: Kyun Jhulas raha hai pura Desh? Har saal ki tarah is baar bhi Bharat mein garmi ne saare record tod diye hain. Kahin temperature 45°C toh kahin 50°C ke paas pahunch raha hai. Lekin sawal ye hai ki aakhir har saal ye garmi itni "unbearable" kyon hoti ja rahi hai? Iske mukhya kaaran niche diye gaye hain: 1. Climate Change aur Global Warming Puri duniya ka taapman badh raha hai, aur Bharat iska sabse bada shikar ban raha hai. Greenhouse gases (jaise Carbon Dioxide) ki wajah se dharti ki garmi bahar nahi nikal pa rahi hai, jisse 'Heatwaves' ki frequency badh gayi hai. 2. 'Urban Heat Island' Effect Shehron mein ped-pauhon ki jagah ab sirf concrete ki buildingein aur sadkein hain. Concrete din bhar dhoop ko sota (absorb) hai aur raat ko garmi nikalta hai. Is wajah se shehar gaanv ke muqable 3-4 degree zyada garam rehte hain. Isse 'Urban Heat Island' kaha jata hai. 3. El Niño ka Asar Prashant Mahasagar (Pacific Ocean) mein hone wal...